Bezubaan zabaan ko samet rakha hai
Ki in sawaalon ka silsila kabhi to khatam hoga!
Maine lakeeron ko bhi haath uthaate dekha hai,
Kya unke haath mein bhi chandrama hoga?
Idhar der se sarakti raat, mudti raat, theherti raat,
Kya us paar ka samaa kuch jalaa sa hoga?
Falsafon ko zindagi ka haal sunaata raha,
Kya unka bhi kaagaz kora hi hoga?
Chaand ka rang kabhi neela, peela ya safed nazar aata hai,
Kya mera rang bhi tere chuvan se badla hoga?
Aaj pure din tere firaaq mein raha,
Kya un nigaahon ko bhi raaston ka andaaza hoga?
Badi muddat se sukhe pade hain ye,
Kya in sawaalon ka ant dhuaan hoga?